Aaj fir woh galati dohrayi maine
Jo ik baar haath jala chuka tha mera
Fir na jane kyon woh chingari jalayi maine
Mere aansoo sookh chuke the aankho ke kone me
Gira kar unko fir se dil ki aag bujhayi maine
Usake jaane ka gam hi kaafi tha mujhe kamzor karne ke liye
Ke sehat ke saath izzat bhi gawayi maine
Iss baar aaya tha woh doosare ka naam lekar
Na jane kyon fir saath baitha, pee aur pilayi maine
Kambakht kitna besharm hai chala aata hai baar baar
Main bhi kam nahi jo usaki gathari uthayi maine
Ab to dikhta hai to nazare jhuka leta hai
Aakhir unn nazaro se nazare hi kyon milayi maine
Woh kitna khoob samjhata hai apne aap ko
Aaya tha to usaki shaql aayine me kyon nahi dikhayi maine
Beraham hai, jo waydo ko shabd samajh kar bhool gaya
Unn waydo pe bharosa karke kyon neend udayi maine
Ab to thokaro ko bhi hum khood ki galati samajhte hai
Galatiyon par bhi doosari galati aazmayi maine.
Woh yahin rahta tha yahin sota tha, ab chala gaya
Usake jaane ke baad hi nayi chadar bichayi maine
Koi kah de use jakar ki achaa hua jo chala gaya
bhanwar se naiya khud hi paar lagayi maine.
No comments:
Post a Comment